This is a song from the movie 'Main Meri Patni aur Woh'. It's a beautiful ghazal sung by Mohit Chauhan (dooba dooba singer). The lyrics is absolutely mesmerizing and is amazingly soothing to the ears. It can rest your soul in peace and can make your blood flow stand still. Its a soft, sweet and subtle one which can keep playing on your music player on repeat.
Silence Kills, Speak Up
Guncha koi mere naam kar diya
Zindegi Ke Kuch Sachhaiyan - Zindegi Ki Safar Mein Lyrics
Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain Jo Makaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain Magar
Patjhad Mein Jo Phool Murjha Jaate Hain
Vo Baharon Ke Aane Se Khilte Nahin
Kuchh Log Ik Roz Jo Bichhad Jaate Hain
Vo Hazaron Ke Aane Se Milte Nahin
Umra Bhar Chahe Koi Pukaara Kare Unka Naam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein...
Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai
Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai Suno
Doston Shaq Dosti Ka Dushman Hai
Apne Dil Mein Ise Ghar Banane Na Do
Kal Tadapna Pade Yaad Mein Jinki
Rok Lo Rooth Kar Unko Jaane Na Do
Baad Mein Pyaar Ke Chahe Bhejo Hazaron Salaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein...
Subah Aati Hai, Shaam Jaati Hai
Subah Aati Hai, Shaam Jaati Hai Yunhi
Vaqt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahin
Ek Pal Mein Ye Aage Nikal Jaata Hai
Aadmi Theek Se Dekh Paata Nahin
Aur Pardey Pe Manzar Badal Jaata Hai
Ek Baar Chale Jaate Hain Jo Din-Raat Subah-O-Shaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein
Great Lyrics
kisee baat par main kisee se khafaa hoon
mai jindaa hoon par jindagee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...
muze dosaton se shikaayat hain shaayad
muze dushmanon se mohabbat hain shaayad
mai is dostee dushmanee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...
n jaane kahaa kab kise dekhataa hoon
magar main jahaa jab jise dekhataa hoon
samazataa hain wo main usee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...
n jaagaa huaa hoon, naa soyaa huaa hoon
main dil ke andheron mein khoyaa hoon
kisee chaand kee chaandanee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...
Aisi Aankhein Nahin Dekhi
Aisi aankhein nahin dekhi
Aisa kajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha
Aisa chehra nahin dekha
Jab yeh daman hawa de
Aag jungle main laga de
Jab yeh sehraon main jaye
Ret main phool khilaye
Aisi duniya nahin dekhi
Aisa manjar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha
Aisa dilbar nahin dekha
Uske kangan ka khanakna
Jaise bulbul ka chehakna
Uski paajeb ki cham cham
Jaise barsaat ka mausam
Aisa sawan nahin dekha
Aisi baaris nahin dekhi
Aisi rim jhim nahin dekhi
Aisi khwahish nahin dekhi
Uski bebak si baatein
Jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhayi yeh masti
Jaise toofan main kasti
Meethi koyal si hai boli
Jaisi geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe pasina
Jaise babul ka mahina
Aisi aankhein nahin dekhi
Aisa kajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha
Aisa chehra nahin dekha