Silence Kills, Speak Up

Silence can be deceptive. Speak up, you may never get a chance to say what you wanted to.




Showing posts with label Hindi Lyrics. Show all posts
Showing posts with label Hindi Lyrics. Show all posts

Guncha koi mere naam kar diya

6 broke the Silence...wen wud U?

This is a song from the movie 'Main Meri Patni aur Woh'. It's a beautiful ghazal sung by Mohit Chauhan (dooba dooba singer). The lyrics is absolutely mesmerizing and is amazingly soothing to the ears. It can rest your soul in peace and can make your blood flow stand still. Its a soft, sweet and subtle one which can keep playing on your music player on repeat.


Mohit Chauhan has done full justice to the song with the way he has sung it. It's definitely one of the best songs by him.

The movie is as well too good with some outstanding performances by Rajpal Yadav, Rituparna Sengupta and Kay Kay Menon. All three of them have been my favorites and are definitely not the regular bollywood style performers. They are classic with their performance. It's story line is just perfect with a beautiful portrayal of a middle class married man who is just a common man. The relationship that he shares with his wife and all that he goes through due to his insecurities regarding himself. The emotions come with a real life feeling and anyone can connect to the characters quite easily. Its a sweet short simple movie which is a must watch.

If you haven't yet heard to this song then do listen to it and have another song added to your favorite playlist of songs.

Enjoy!





Lyrics

Guncha koi mere naam kar diya.....
Guncha koi mere naam kar diya.....
Saki ne phir se mera jaam bhar diya...
Saki ne phir se mera jaam bhar diya...
Guncha koi hmm....

Tum jaisa koi nahi is jahaan mein
Tum jaisa koi nahi is jahaan mein
Subah ko teri zulf ne shaam kar diya
Subah ko teri zulf ne shaam kar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya...
Guncha koi hmm....

Mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
Mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
aankhon ke zazeeron ko mere naam kar diya
aankhon ke zazeeron ko mere naam kar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya...
Guncha koi hmm.......

Hosh bekhabar se huye unke bagair
Hosh bekhabar se huye unke bagair
Hosh bekhabar se huye unke bagair
Woh jo humse keh na sake dil ne kah diya
Woh jo humse keh na sake dil ne kah diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya...
Guncha koi hmm.......

Guncha koi mere naam kar diya.....
Saki ne phir se mera jaam bhar diya...


NB: The lyrics above has a para (mehfil main baar baar...) which not in the video clip of the movie.

Zindegi Ke Kuch Sachhaiyan - Zindegi Ki Safar Mein Lyrics

2 broke the Silence...wen wud U?

Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain Jo Makaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate

Phool Khilte Hain, Log Milte Hain
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain Magar
Patjhad Mein Jo Phool Murjha Jaate Hain
Vo Baharon Ke Aane Se Khilte Nahin
Kuchh Log Ik Roz Jo Bichhad Jaate Hain
Vo Hazaron Ke Aane Se Milte Nahin
Umra Bhar Chahe Koi Pukaara Kare Unka Naam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein...

Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai
Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai Suno
Doston Shaq Dosti Ka Dushman Hai
Apne Dil Mein Ise Ghar Banane Na Do
Kal Tadapna Pade Yaad Mein Jinki
Rok Lo Rooth Kar Unko Jaane Na Do
Baad Mein Pyaar Ke Chahe Bhejo Hazaron Salaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein...

Subah Aati Hai, Shaam Jaati Hai
Subah Aati Hai, Shaam Jaati Hai Yunhi
Vaqt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahin
Ek Pal Mein Ye Aage Nikal Jaata Hai
Aadmi Theek Se Dekh Paata Nahin
Aur Pardey Pe Manzar Badal Jaata Hai
Ek Baar Chale Jaate Hain Jo Din-Raat Subah-O-Shaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein

Great Lyrics

2 broke the Silence...wen wud U?

kisee baat par main kisee se khafaa hoon
mai jindaa hoon par jindagee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...

muze dosaton se shikaayat hain shaayad
muze dushmanon se mohabbat hain shaayad
mai is dostee dushmanee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...

n jaane kahaa kab kise dekhataa hoon
magar main jahaa jab jise dekhataa hoon
samazataa hain wo main usee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...

n jaagaa huaa hoon, naa soyaa huaa hoon
main dil ke andheron mein khoyaa hoon
kisee chaand kee chaandanee se khafaa hoon
khafaa hoon, khafaa hoon, khafaa hoon ...

Aisi Aankhein Nahin Dekhi

0 broke the Silence...wen wud U?

Aisi aankhein nahin dekhi
Aisa kajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha
Aisa chehra nahin dekha

Jab yeh daman hawa de
Aag jungle main laga de
Jab yeh sehraon main jaye
Ret main phool khilaye

Aisi duniya nahin dekhi
Aisa manjar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha
Aisa dilbar nahin dekha

Uske kangan ka khanakna
Jaise bulbul ka chehakna
Uski paajeb ki cham cham
Jaise barsaat ka mausam

Aisa sawan nahin dekha
Aisi baaris nahin dekhi
Aisi rim jhim nahin dekhi
Aisi khwahish nahin dekhi

Uski bebak si baatein
Jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhayi yeh masti
Jaise toofan main kasti

Meethi koyal si hai boli
Jaisi geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe pasina
Jaise babul ka mahina

Aisi aankhein nahin dekhi
Aisa kajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha
Aisa chehra nahin dekha


Tujhse Naraz Nahin Zindegi - Lyrics

0 broke the Silence...wen wud U?

This was the song i had been listening to for the last four hours!still feel like listening it more n more.
Each part so well made dat i hardly can write anything more today....just listen to it.Awesome !!
tujhse naraz nahin zindegi
hairan hun main, ho hairan hun main
tere masoom sawalon se
pareshan hun main, ho pareshaan hun main(2)

jeene ke liye socha hi nahin
dard sambhalane honge(2)
muskuraen toh muskurane ke
karz utarne honge
muskuraon kabhi toh lagta hai
jaise hoton pe karz rakha hai

tujhse naraz nahin zindegi
hairan hun main, ho hairan hun main

zindegi tere gam ne hame
ristey naye samjhaye(2)
mile jo hame
dhoop main mile
choan ke thande saaye

tujhse naraz nahin zindegi
hairan hun main, ho hairan hun main

aaj agar bhar aayi hain
boonde baras jayengi(2)
kal kya pata inke liye
aankhein taras jayengi
jane kab gum hua kahan khoya
ek aansoon chupa ke rakha tha

tujhse naraz nahin hai zindegi
hairan hun main, ho hairan hun main
tere masoom sawalon se pareshan hun main
ho parshan hun main
parshan hun main parshan hun main
Click away to download the two versions....one by Lata n The other by Anup Ghoshal.
Both of dem cud do justice to the song.

Ja Rahe Ho Agar......

0 broke the Silence...wen wud U?

This is a song sung by Ganesh Hegde.Nice sweet melodious but the best part of it is the lyrics and i feel it was written just for me.I dont know who the lyricist is but i owe him a lot for creating this master piece.I know many people have not heard this song but this one is something awesome.The best part is

"tumne mangi dua...ham ko mile har khushi
tumhi meri khushi...phir kyun mile na hame"

Song of pain and the circumstances.The different way to love someone.A person never wants to lose his love but how tuff is it to ask ur love to never return back ?Thats what has really touched me and i feel the same for the person i waited for more dan 10 years.I dont want her to return coz things have changed and by that i dont mean dat my love has changed or i dont love her but just that i dont want to get hurt once more.Let her be there in my dreams,in my prayers and in my past.Let Her be there where she is now.....

Jaa rahe ho agar
door mujhse sanam


phir mere pas ana nahin
yeh bhi mumkin nahin
main palat na sakun


isliye itna wadaa karo
mujhko aawaz dena nahin
mujhko aawaz dena nahin


mil bhi jayein agar
ham tumhe rahon main


pher lena nazar....par mila na nahin
dekh lo bhi agar tum hame bhul se
apni ankhon main tum...ashk lana na nahin


dil se hamko to tum kar chuke ho juda


ankh se... bhi... girana nahin
ankh se bhi girana nahin


tumne mangi dua...ham ko mile har khushi
tumhi meri khushi...phir kyun mile na hame


tumne li hai kasam gam na karna kabhi
tum sikha do jara...muskurana hame


tum ne keh toh diya yaad karna nahin
khwab main.....tum bhi aaana nahin


ja rahe ho agar
door mujhse sanam


phir mere pas ana nahin
yeh bhi mumkin nahin
main palat na sakun


isliye itna wadaa karo
mujhko aawaz dena nahin
mujhko aawaz dena nahin