Silence Kills, Speak Up

Silence can be deceptive. Speak up, you may never get a chance to say what you wanted to.




Aisi Aankhein Nahin Dekhi

Aisi aankhein nahin dekhi
Aisa kajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha
Aisa chehra nahin dekha

Jab yeh daman hawa de
Aag jungle main laga de
Jab yeh sehraon main jaye
Ret main phool khilaye

Aisi duniya nahin dekhi
Aisa manjar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha
Aisa dilbar nahin dekha

Uske kangan ka khanakna
Jaise bulbul ka chehakna
Uski paajeb ki cham cham
Jaise barsaat ka mausam

Aisa sawan nahin dekha
Aisi baaris nahin dekhi
Aisi rim jhim nahin dekhi
Aisi khwahish nahin dekhi

Uski bebak si baatein
Jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhayi yeh masti
Jaise toofan main kasti

Meethi koyal si hai boli
Jaisi geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe pasina
Jaise babul ka mahina

Aisi aankhein nahin dekhi
Aisa kajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha
Aisa chehra nahin dekha


0 broke the Silence...wen wud U?: (+add yours?)