Kyun mujhe kuch yaad aa rahi hai,
Kyun mujhe tumhari who lipte hue julphen yaad aati hain
Kyun tumhari aankhon ki harkatein mujhe satati hain
Kyun tumhari un aankhon ka intezaar hai jaise
Ke ek baar aaj unhe main chu lun apne aankhon se
Ke aaj tumhari aankhon main kahin kho jaun main
Woh jhuki si palkein kuch keh rahi ho jaise
Kyun mere dil main ek awaaz gunj rahi hai aise
Aisi aankhein nahin dekhi jo mujhe apne se alag kar rahi ho jaise
Lekin kyun aaj khudko khone ka gam nahin hai mujhe
Aisa kya hai jo mujhe tumhari who baatein yaad aati hain
Kabhi aisa toh nahin hua tha ke tumhari yaad aane ki zaroorat thi is dil ko
Toh fir kyun aaj mera dil tumhari aankhon se baat kar raha hai
Mujhe pata hai ke un aankhon main nami hai kahin
Lekin kyun who mujhse nazarein churati hain…
Hai in aankhon ko tumhari zaroorat,
Tumhare hoton ki hai mujhe intezaar
Ke tumhari hoton ki thar tharati aahat ko main mehsoos karun
Tumhari unglian hain khilte kamal ke pankh jaisi
Kyun mera mann aaj unhe thamne ko hai bekarar
Tumhari bikhre hue latayen,
galon ko chum rahi ho jaisi shararat ki hai khayal unhe
Aaj mera mann hai bekarar kuch kehne ko tumhare kaano main
Bas hai yeh ek khayal meri
lekin kyun mera dil kehta hai…
kyun mera dil….kehta hai…
kyun tum itni yaad aati ho..
kyun mujhe kuch yaad aa rahi hai…
Choosing Viewpoint Characters: What’s Right for Your Story?
-
Sometimes, it’s obvious who the POV (point of view) character(s) will be
for a particular story. Maybe you’re writing a first-person romance
novella, for...
15 hours ago
0 broke the Silence...wen wud U?: (+add yours?)
Post a Comment