Aksar aisa hota hai ke ham jise chahte hain unhe hi kho dete hain.Ham jitna unhe pana chahte hain woh hamse utna hi door chale jate hain.Tab sab kuchh halat pe chod dena hi sabse behtar hota hai.zindegi jo rang lena chahti hai use bas apnate hi jana hai.Main yeh nahin kehta ke bhool jana chahiye sab kuchh lekin haan zindegi par chod dena chahiye.
Ham jeete hain apno ke liye.Lekin apno ko apna banna padta hai.Jab apne hi apne nahin hote tab takleef bahut hoti hai.Apno ke liye jeete jeete ham yeh bhool jate hain apne yeh chahte bhi hain ya nahin.Lekin jab kisi ristey main pyar hi nahin hota tab sab bemaine ho jata hai.Riston ka wajood kho jata hai.
Kuch aise hi the mere khayalat kabhi Alvida Na Kehna dekhne ke baad.Haan kuchh logon ko yeh batein shayad pasand na aaye aur movie bhi achhi na lagi ho lekin agar dhyan se socha jaye toh yeh bilkul sahi hai aur ham shayad sachhai se bhagte hain...sach yeh hai ke ham sab aisa mehsoos karte hain lekin is ehsaas se darte hain.Ehsaas hi woh hai jo dilon ko jodti hai shayad.aur shayad sochne ke liye hamare pas waqt hi nahin hoti.
Waqt ke rehte sab karne se hi us ehsaas ke saath insaaf hogi.Ehsaas ko kahin khone na dena...
Choosing Viewpoint Characters: What’s Right for Your Story?
-
Sometimes, it’s obvious who the POV (point of view) character(s) will be
for a particular story. Maybe you’re writing a first-person romance
novella, for...
2 days ago
0 broke the Silence...wen wud U?: (+add yours?)
Post a Comment